unki KHwahishen tamam shud meri hasraton pe fatiha
un kī ḳhvāhisheñ tamām shud merī hasratoñ pe fātiha
chashm muntazir hai aarzī sard āhaToñ pe fātiha
vaqt kā bhalā ho sab ke sab aa ga.e haiñ khul ke sāmne
jo bhī ye aziiz ab ke un be-muravvatoñ pe fātiha
qaid kar ke dil kī dhaḌkaneñ paḌh rahā huuñ apne saath maiñ
tere hone se jo thiiñ kabhī aisī rāhatoñ pe fātiha
jā tujhe duā.eñ baḳhsh diiñ tujh ko do jahāñ nasīb hoñ
terī nafratoñ kī ḳhair ho merī chāhatoñ pe fātiha
jin hasīn pal meñ ham mile jitne din ye silsile chale
aaj mere dil ne paḌh diyā saarī sā.atoñ pe fātiha
ab 'navāz' koshisheñ kareñ kab talak ye bojh Dho.eñge
aao yaar aaj paḌh hī leñ apnī furqatoñ pe fātiha
un ki KHwahishen tamam shud meri hasraton pe fatiha
chashm muntazir hai aarzi sard aahaTon pe fatiha
waqt ka bhala ho sab ke sab aa gae hain khul ke samne
jo bhi ye aziz ab ke un be-murawwaton pe fatiha
qaid kar ke dil ki dhaDkanen paDh raha hun apne sath main
tere hone se jo thin kabhi aisi rahaton pe fatiha
ja tujhe duaen baKHsh din tujh ko do jahan nasib hon
teri nafraton ki KHair ho meri chahaton pe fatiha
jin hasin pal mein hum mile jitne din ye silsile chale
aaj mere dil ne paDh diya sari saaton pe fatiha
ab 'nawaz' koshishen karen kab talak ye bojh Dhoenge
aao yar aaj paDh hi len apni furqaton pe fatiha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.