unki mast aankhon ne kar Dala hai mastana mujhe
un kī mast āñkhoñ ne kar Daalā hai mastāna mujhe
ab nahīñ hai ehtiyāj-e-daur-e-paimāna mujhe
bhuul kar bhī ab nahīñ aatā gulistāñ kā ḳhayāl
is qadar aaya hai raas ai ishq vīrāna mujhe
aap kā dīvāna kahtā hai mujhe saarā jahāñ
aap bhī kah dījiye ik baar dīvāna mujhe
ḳhud hī apnī aag meñ aksar jalā kartā huuñ maiñ
husn ne baḳhshā hai soz-e-ishq-e-parvāna mujhe
dekhiyegā phir mire dil kī junūñ-sāmāniyāñ
dekh luuñ maiñ us ko aur vo chashm-e-masatāna mujhe
bach nahīñ saktā balā-e-barq-o-jaur-e-bād se
kuchh sukūñ dene lagā hai merā kāshāna mujhe
husn se chashmak rahā ho jis kā maqsūd-e-hayāt
baḳhsh dī qudrat ne vo tab.a-e-kalīmāna mujhe
ab yahī hai aarzū 'jauhar' dil-e-betāb meñ
rashk-e-firdaus-e-barīñ ho merā ġham-ḳhāna mujhe
un ki mast aankhon ne kar Dala hai mastana mujhe
ab nahin hai ehtiyaj-e-daur-e-paimana mujhe
bhul kar bhi ab nahin aata gulistan ka KHayal
is qadar aaya hai ras ai ishq virana mujhe
aap ka diwana kahta hai mujhe sara jahan
aap bhi kah dijiye ek bar diwana mujhe
KHud hi apni aag mein aksar jala karta hun main
husn ne baKHsha hai soz-e-ishq-e-parwana mujhe
dekhiyega phir mere dil ki junun-samaniyan
dekh lun main us ko aur wo chashm-e-masatana mujhe
bach nahin sakta bala-e-barq-o-jaur-e-baad se
kuchh sukun dene laga hai mera kashana mujhe
husn se chashmak raha ho jis ka maqsud-e-hayat
baKHsh di qudrat ne wo taba-e-kalimana mujhe
ab yahi hai aarzu 'jauhar' dil-e-betab mein
rashk-e-firdaus-e-barin ho mera gham-KHana mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.