unki nazar se aaj jo Takra gai nazar
un kī nazar se aaj jo Takrā ga.ī nazar
merā maqām kyā hai ye batlā ga.ī nazar
ta.amīr-e-tāj meñ hai kisī kī vafā kā husn
rauzan se dekhte hue pathrā ga.ī nazar
murjhā gayā hai phuul sā chehrā ye kis liye
kuchh to batāo kis kī tumheñ khā ga.ī nazar
ye to nahīñ zarūrī zabāñ se vo kuchh kaheñ
sab kuchh nazar nazar hī meñ batlā ga.ī nazar
un ko bhulā.e yuuñ to zamāna guzar gayā
dekhā jo un ko aaj to lalchā ga.ī nazar
maazī ko 'fauq' rabt hai kitnā nazar ke saath
dekhā kisī ne mujh ko to sharmā ga.ī nazar
un ki nazar se aaj jo Takra gai nazar
mera maqam kya hai ye batla gai nazar
tamir-e-taj mein hai kisi ki wafa ka husn
rauzan se dekhte hue pathra gai nazar
murjha gaya hai phul sa chehra ye kis liye
kuchh to batao kis ki tumhein kha gai nazar
ye to nahin zaruri zaban se wo kuchh kahen
sab kuchh nazar nazar hi mein batla gai nazar
un ko bhulae yun to zamana guzar gaya
dekha jo un ko aaj to lalcha gai nazar
mazi ko 'fauq' rabt hai kitna nazar ke sath
dekha kisi ne mujh ko to sharma gai nazar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.