unki nazron ka wo paiwast-e-rag-e-jaan hona
un kī nazroñ kā vo paivast-e-rag-e-jāñ honā
dil jigar donoñ kā sharminda-e-ehsāñ honā
ḳhāna-barbādī ne kyā kyā na dikhā.e tevar
aa gayā kaam mire dil kā bayābāñ honā
hoñge apne bhī parā.e bhī mirī laash ke saath
kuchh kahe koī magar tum na pashemāñ honā
'hāmid' ham bhī the kabhī bazm-e-hunar-mandoñ meñ
yaad aatā hai mujhe merā ġhazal-ḳhvāñ honā
un ki nazron ka wo paiwast-e-rag-e-jaan hona
dil jigar donon ka sharminda-e-ehsan hona
KHana-barbaadi ne kya kya na dikhae tewar
aa gaya kaam mere dil ka bayaban hona
honge apne bhi parae bhi meri lash ke sath
kuchh kahe koi magar tum na pasheman hona
'hamid' hum bhi the kabhi bazm-e-hunar-mandon mein
yaad aata hai mujhe mera ghazal-KHwan hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.