unki nigah-e-lutf ka paigham aa gaya
un kī nigāh-e-lutf kā paiġhām aa gayā
merā ḳhulūs aaj mire kaam aa gayā
fikr-e-sahar ga.ī to ġham-e-shām aa gayā
ab e.atibār-e-gardish-e-ayyām aa gayā
pūchhā kisī ne jab mirī barbādiyoñ kā haal
be-sāḳhta zabāñ pe tirā naam aa gayā
mushkil se tark-e-ishq pe raazī huā thā dil
lo phir nigāh-e-nāz kā paiġhām aa gayā
muddat ke baad hoñToñ pe aane ko thī hañsī
lekin mirī nigāh meñ anjām aa gayā
shukr-e-ḳhudā milīñ dar-e-jānāñ kī Thokareñ
bigḌā huā nasīb mire kaam aa gayā
'raunaq' kisī kī chashm-e-karam be-sabab nahīñ
kuchh baat hai jo merī taraf jaam aa gayā
un ki nigah-e-lutf ka paigham aa gaya
mera KHulus aaj mere kaam aa gaya
fikr-e-sahar gai to gham-e-sham aa gaya
ab eatibar-e-gardish-e-ayyam aa gaya
puchha kisi ne jab meri barbaadiyon ka haal
be-saKHta zaban pe tera nam aa gaya
mushkil se tark-e-ishq pe raazi hua tha dil
lo phir nigah-e-naz ka paigham aa gaya
muddat ke baad honTon pe aane ko thi hansi
lekin meri nigah mein anjam aa gaya
shukr-e-KHuda milin dar-e-jaanan ki Thokaren
bigDa hua nasib mere kaam aa gaya
'raunaq' kisi ki chashm-e-karam be-sabab nahin
kuchh baat hai jo meri taraf jam aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.