unki peshani pe dekha to kai bal nikle
un kī peshānī pe dekhā to ka.ī bal nikle
dosto tum hī batāo ki koī hal nikle
bāġhbāñ thā tirā ilzām yahāñ chorī kā
phuul nikle na yahāñ se na yahāñ phal nikle
gaaoñ gaaoñ bhare tālāb thī itnī bārish
aur bin barse mire gaaoñ se bādal nikle
izzateñ luuT ke jo qatl kiyā karte the
jab vo pakḌe ga.e dekhā nire pāgal nikle
ārzūoñ se lade jismoñ kā ab kyā hogā
be-shumār aise the un meñ ki jo bekal nikle
karte rahnā hī baḌā kaam hai is duniyā meñ
bin kiye dosto apnā na koī pal nikle
ai 'niyāzī' na sunā hāl-e-tabāhī us kā
dar bhī insāf ke jo the vo muqaffal nikle
un ki peshani pe dekha to kai bal nikle
dosto tum hi batao ki koi hal nikle
baghban tha tera ilzam yahan chori ka
phul nikle na yahan se na yahan phal nikle
gaon gaon bhare talab thi itni barish
aur bin barse mere gaon se baadal nikle
izzaten luT ke jo qatl kiya karte the
jab wo pakDe gae dekha nire pagal nikle
aarzuon se lade jismon ka ab kya hoga
be-shumar aise the un mein ki jo bekal nikle
karte rahna hi baDa kaam hai is duniya mein
bin kiye dosto apna na koi pal nikle
ai 'niyazi' na suna haal-e-tabahi us ka
dar bhi insaf ke jo the wo muqaffal nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.