unki surat jahan nazar aai
un kī sūrat jahāñ nazar aa.ī
dil kī har choT phir ubhar aa.ī
miT ke ham un se haal kyā kahte
pursish-e-ġham pe aañkh bhar aa.ī
dil Thahartā na thā magar Thahrā
maut aatī na thī magar aa.ī
ḳhud ko maiñ DhūñDne lagā us dam
un ke aane kī jab ḳhabar aa.ī
din to furqat kā kaT gayā lekin
raat aa.ī to be-sahar aa.ī
mujh ko dil se bhulāne baiThe haiñ
kyā kareñge vo yaad agar aa.ī
vo jo aa.e to mujh ko hosh aaya
dil-e-gum-gashta kī ḳhabar aa.ī
bhuul kar tum kidhar ye aa nikle
eid ye aaj kis ke ghar aa.ī
tum chhuTe jab se merī duniyā meñ
shaam aa.ī na phir sahar aa.ī
kitnī bebāk hai mohabbat bhī
aañkh milte hī dil meñ dar aa.ī
un ko aanā thā vo nahīñ aa.e
yaad aanī thī umr-bhar aa.ī
chaak karnā paḌā garebāñ ko
baat bantī na jab nazar aa.ī
ġham ko Taalā bahut magar 'sāhir'
ye balā ishq hī ke sar aa.ī
un ki surat jahan nazar aai
dil ki har choT phir ubhar aai
miT ke hum un se haal kya kahte
pursish-e-gham pe aankh bhar aai
dil Thaharta na tha magar Thahra
maut aati na thi magar aai
KHud ko main DhunDne laga us dam
un ke aane ki jab KHabar aai
din to furqat ka kaT gaya lekin
raat aai to be-sahar aai
mujh ko dil se bhulane baiThe hain
kya karenge wo yaad agar aai
wo jo aae to mujh ko hosh aaya
dil-e-gum-gashta ki KHabar aai
bhul kar tum kidhar ye aa nikle
eid ye aaj kis ke ghar aai
tum chhuTe jab se meri duniya mein
sham aai na phir sahar aai
kitni bebak hai mohabbat bhi
aankh milte hi dil mein dar aai
un ko aana tha wo nahin aae
yaad aani thi umr-bhar aai
chaak karna paDa gareban ko
baat banti na jab nazar aai
gham ko Tala bahut magar 'sahir'
ye bala ishq hi ke sar aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.