unki Thokar ban gai hai roz-e-mahshar ka jawab
un kī Thokar ban ga.ī hai roz-e-mahshar kā javāb
roz-e-mahshar dekhiye kis din ho Thokar kā javāb
ho nahīñ saktā sitamgar tere ḳhanjar kā javāb
ḳhuun thukvāne lagā us misrā-e-tar kā javāb
tīra-qismat huuñ dikhā.ūñgā gar un ko aa.ina
aa.ina ban jā.egā sadd-e-sikandar kā javāb
ḳhuuñ vahāñ gardan pe ho yaañ ashk-e-ḳhūnī aañkh meñ
kaash ho un kī surāhī mere sāġhar kā javāb
phir kahūñgā phir kahūñgā bosa-e-lab ke liye
hoñToñ hoñToñ meñ na do arz-e-mukarrar kā javāb
hijr kī shab fikr-e-mazmūn-e-ruḳh-e-pur-nūr hai
likh rahā huuñ maiñ bayāz-e-sub.h-e-mahshar kā javāb
yā sanam maiñ ne kahā vo gāliyāñ dene lage
ye masal sach ho ga.ī patthar hai patthar kā javāb
gir paḌā maiñ sar ke bal qurbān us andāz ke
un kī añgḌā.ī huī mehrāb-e-ḳhanjar kā javāb
dekhte hī mere ḳhat ko ho ga.e chīñ-bar-jabīñ
chaar satroñ meñ diyā hai saare daftar kā javāb
ḳhāna-e-gil meñ hai kyā jo ḳhāna-e-dil meñ nahīñ
ghar butoñ kā ho gayā allāh ke ghar kā javāb
vo nigāheñ ye jigar vo sang dil ye resh dil
aabla hai ḳhaar kā shīsha hai patthar kā javāb
intizār-e-nāma-e-dilbar meñ 'rāsiḳh' kyā kahūñ
sāmne aaya mire mere muqaddar kā javāb
un ki Thokar ban gai hai roz-e-mahshar ka jawab
roz-e-mahshar dekhiye kis din ho Thokar ka jawab
ho nahin sakta sitamgar tere KHanjar ka jawab
KHun thukwane laga us misra-e-tar ka jawab
tira-qismat hun dikhaunga gar un ko aaina
aaina ban jaega sadd-e-sikandar ka jawab
KHun wahan gardan pe ho yan ashk-e-KHuni aankh mein
kash ho un ki surahi mere saghar ka jawab
phir kahunga phir kahunga bosa-e-lab ke liye
honTon honTon mein na do arz-e-mukarrar ka jawab
hijr ki shab fikr-e-mazmun-e-ruKH-e-pur-nur hai
likh raha hun main bayaz-e-subh-e-mahshar ka jawab
ya sanam main ne kaha wo galiyan dene lage
ye masal sach ho gai patthar hai patthar ka jawab
gir paDa main sar ke bal qurban us andaz ke
un ki angDai hui mehrab-e-KHanjar ka jawab
dekhte hi mere KHat ko ho gae chin-bar-jabin
chaar satron mein diya hai sare daftar ka jawab
KHana-e-gil mein hai kya jo KHana-e-dil mein nahin
ghar buton ka ho gaya allah ke ghar ka jawab
wo nigahen ye jigar wo sang dil ye resh dil
aabla hai KHar ka shisha hai patthar ka jawab
intizar-e-nama-e-dilbar mein 'rasiKH' kya kahun
samne aaya mere mere muqaddar ka jawab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.