un ko duniya ki bahaaren mujhko zanjiren milin
un ko duniyā kī bahāreñ mujh ko zanjīreñ milīñ
jis ne jaise ḳhvāb dekhe vaisī ta.abīreñ milīñ
apne hī chehroñ pe guzrā ajnabiyyat kā gumāñ
dekhne ko jab hameñ maazī kī tasvīreñ milīñ
har qadam par tohmateñ har saañs meñ zahr-e-alam
kyā kyā duniyā meñ hameñ jiine kī ta.azīreñ milīñ
vaqt ne apnā.e kyā kyā ḳhair-maqdam ke usuul
phuul jin hāthoñ meñ kal the aaj zanjīreñ milīñ
nargisī āñkhoñ kā kājal āñsuoñ meñ bah gayā
phuul se ruḳh par pighalte ġham kī tahrīreñ milīñ
ham ġharīb-e-shahr the gumnāmiyoñ ke darmiyāñ
un kī nisbat se magar ham ko bhī tash.hīreñ milīñ
sang-o-tesha āb-o-sam dasht-e-junūñ dār-o-rasan
sirf ik lafz-e-vafā kī kitnī tafsīreñ milīñ
ātish-e-ehsās-e-ġham meñ 'umr bhar jalte raheñ
ham qalam-kāroñ ko 'tālib' kaisī taqdīreñ milīñ
un ko duniya ki bahaaren mujh ko zanjiren milin
jis ne jaise KHwab dekhe waisi tabiren milin
apne hi chehron pe guzra ajnabiyyat ka guman
dekhne ko jab hamein mazi ki taswiren milin
har qadam par tohmaten har sans mein zahr-e-alam
kya kya duniya mein hamein jine ki taziren milin
waqt ne apnae kya kya KHair-maqdam ke usul
phul jin hathon mein kal the aaj zanjiren milin
nargisi aankhon ka kajal aansuon mein bah gaya
phul se ruKH par pighalte gham ki tahriren milin
hum gharib-e-shahr the gumnamiyon ke darmiyan
un ki nisbat se magar hum ko bhi tashhiren milin
sang-o-tesha aab-o-sam dasht-e-junun dar-o-rasan
sirf ek lafz-e-wafa ki kitni tafsiren milin
aatish-e-ehsas-e-gham mein 'umr bhar jalte rahen
hum qalam-karon ko 'talib' kaisi taqdiren milin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.