un ko ehsas-e-gham nahin hota
un ko ehsas-e-gham nahin hota
Jagjeewan Lal Asthana sahar
MORE BYJagjeewan Lal Asthana sahar
un ko ehsās-e-ġham nahīñ hotā
kyoñ ye ehsās kam nahīñ hotā
vaqt likhtā hai sab kī taqdīreñ
haath meñ go qalam nahīñ hotā
maiñ huuñ unvān us fasāne kā
jo ki sarf-e-qalam nahīñ hotā
fā.eda kyā hai aise rone se
un kā dāman jo nam nahīñ hotā
tum mire saath saath chalte ho
kyoñ ye ehsās kam nahīñ hotā
sab pe rahmat tirī barastī hai
ek ham par karam nahīñ hotā
muskurānā bhī fan hai duniyā meñ
kis kī duniyā meñ ġham nahīñ hotā
sar jhukāte nahīñ haiñ ham jis jā
terā naqsh-e-qadam nahīñ hotā
ek vo dil ki TuuT jaate haiñ
ek ye sar ki ḳham nahīñ hotā
un ke ġham se jo dostī hai 'sahar'
ab kisī ġham kā ġham nahīñ hotā
un ko ehsas-e-gham nahin hota
kyon ye ehsas kam nahin hota
waqt likhta hai sab ki taqdiren
hath mein go qalam nahin hota
main hun unwan us fasane ka
jo ki sarf-e-qalam nahin hota
faeda kya hai aise rone se
un ka daman jo nam nahin hota
tum mere sath sath chalte ho
kyon ye ehsas kam nahin hota
sab pe rahmat teri barasti hai
ek hum par karam nahin hota
muskurana bhi fan hai duniya mein
kis ki duniya mein gham nahin hota
sar jhukate nahin hain hum jis ja
tera naqsh-e-qadam nahin hota
ek wo dil ki TuT jate hain
ek ye sar ki KHam nahin hota
un ke gham se jo dosti hai 'sahar'
ab kisi gham ka gham nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.