un ko ghurur-e-husn mubarak KHushi ke sath
un ko ghurur-e-husn mubarak KHushi ke sath
Abdul Majeed Dard Bhopali
MORE BYAbdul Majeed Dard Bhopali
un ko ġhurūr-e-husn mubārak ḳhushī ke saath
merā junūñ rahegā merī zindagī ke saath
bazm-e-tarab meñ raat ajab mājrā rahā
thā un kā iltifāt magar be-ruḳhī ke saath
kis ko sunā.eñ kis se kaheñ mājrā-e-dil
kāfir-nazar ne luuT liyā sādgī ke saath
dil jāntā hai dil pe jo guzrī hai dosto
jab muskurā diyā koī sharmindagī ke saath
aamad zarūr aaj kisī māh-vash kī hai
ġhunche chaTak rahe haiñ chaman meñ ḳhushī ke saath
yā-rab zabāñ pe kalima-e-tayyab sadā rahe
jiinā isī ke saath ho marnā isī ke saath
aa.ī ajal to apne parā.e judā hue
duniyā meñ 'dard' kaun rahā hai kisī ke saath
un ko ghurur-e-husn mubarak KHushi ke sath
mera junun rahega meri zindagi ke sath
bazm-e-tarab mein raat ajab majra raha
tha un ka iltifat magar be-ruKHi ke sath
kis ko sunaen kis se kahen majra-e-dil
kafir-nazar ne luT liya sadgi ke sath
dil jaanta hai dil pe jo guzri hai dosto
jab muskura diya koi sharmindagi ke sath
aamad zarur aaj kisi mah-wash ki hai
ghunche chaTak rahe hain chaman mein KHushi ke sath
ya-rab zaban pe kalima-e-tayyab sada rahe
jina isi ke sath ho marna isi ke sath
aai ajal to apne parae juda hue
duniya mein 'dard' kaun raha hai kisi ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.