un ko kahan hai fikr kisi bhi azab ki
un ko kahāñ hai fikr kisī bhī azaab kī
kyoñ baat kar rahe ho gunāh-o-savāb kī
duniyā banā.ī us ne kuchh apne hisāb kī
tasvīr khīñch Daalī haqīqat kī ḳhvāb kī
tanqīd karte karte vo naqqād ban ga.e
ab aa ga.ī hai baarī ḳhud un ke hisāb kī
jaatī huī bahār ke manzar ko dekh kar
un ko paḌī hai fikr ab apne shabāb kī
āsūdgī maze se sulātī hai raat bhar
mahrūmiyāñ qabā.eñ banātī haiñ ḳhvāb kī
jo log ḳhud-farebī meñ rahte haiñ mubtalā
un kī nazar meñ qadr kahāñ āftāb kī
'shamshād' ko haqīqat-e-kirdār kā hai 'ilm
hājat use kahāñ hai kisī bhī nisāb kī
un ko kahan hai fikr kisi bhi azab ki
kyon baat kar rahe ho gunah-o-sawab ki
duniya banai us ne kuchh apne hisab ki
taswir khinch Dali haqiqat ki KHwab ki
tanqid karte karte wo naqqad ban gae
ab aa gai hai bari KHud un ke hisab ki
jati hui bahaar ke manzar ko dekh kar
un ko paDi hai fikr ab apne shabab ki
aasudgi maze se sulati hai raat bhar
mahrumiyan qabaen banati hain KHwab ki
jo log KHud-farebi mein rahte hain mubtala
un ki nazar mein qadr kahan aaftab ki
'shamshad' ko haqiqat-e-kirdar ka hai 'ilm
hajat use kahan hai kisi bhi nisab ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.