un ko phir dekhne ki aas nahin
un ko phir dekhne kī aas nahīñ
chaak ab dāman-e-havās nahīñ
manzil-e-ġham meñ saath hai ummīd
merā chehra zarā udaas nahīñ
phir qafas chhoḌ kar kahāñ jaa.eñ
jab havā-e-chaman hī raas nahīñ
kyā umīd-e-vafā kare koī
un ko apnī zabāñ kā paas nahīñ
āzmātā hai zarf ko saaqī
rind pī kar bhī bad-havās nahīñ
kyā nirālī hai hashr kī duniyā
ek se ek rū-shanās nahīñ
tang ḳhud se maiñ aa chukā huuñ 'zabīh'
ab koī shai bhī ās-pās nahīñ
un ko phir dekhne ki aas nahin
chaak ab daman-e-hawas nahin
manzil-e-gham mein sath hai ummid
mera chehra zara udas nahin
phir qafas chhoD kar kahan jaen
jab hawa-e-chaman hi ras nahin
kya umid-e-wafa kare koi
un ko apni zaban ka pas nahin
aazmata hai zarf ko saqi
rind pi kar bhi bad-hawas nahin
kya nirali hai hashr ki duniya
ek se ek ru-shanas nahin
tang KHud se main aa chuka hun 'zabih'
ab koi shai bhi aas-pas nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.