un ko ye chahiye ek dam na bhulaen hum ko
un ko ye chāhiye ik dam na bhulā.eñ ham ko
rafta rafta dil-e-shaidā se haTā.eñ ham ko
un kī yādoñ ke 'alāva bhī bahut se ġham haiñ
un se kahnā ki vo ab yaad na aa.eñ ham ko
yaad rakkhegā bhalā kaun jafā.eñ terī
zinda rakkheñgī hamesha ye vafā.eñ ham ko
zinda rahne kī to ummīd nahīñ thī lekin
maut ke muñh se bachā lā.īñ davā.eñ ham ko
ham du'ā le ke haiñ māñ-bāp kī ghar se nikle
chhū nahīñ saktīñ zamāne kī balā.eñ ham ko
talḳh lagtī hai buzurgoñ kī hidāyāt magar
fā.eda detī haiñ kuchh kaḌvī davā.eñ ham ko
jā ke pardes meñ ulfat ko tarasne ke sivā
aur hijrat se milā kyā vo batā.eñ ham ko
ham to haiñ 'aks' charāġh-e-fan-e-afkār-e-suḳhan
ho havāoñ meñ agar dam to bujhā.eñ ham ko
un ko ye chahiye ek dam na bhulaen hum ko
rafta rafta dil-e-shaida se haTaen hum ko
un ki yaadon ke 'alawa bhi bahut se gham hain
un se kahna ki wo ab yaad na aaen hum ko
yaad rakkhega bhala kaun jafaen teri
zinda rakkhengi hamesha ye wafaen hum ko
zinda rahne ki to ummid nahin thi lekin
maut ke munh se bacha lain dawaen hum ko
hum du'a le ke hain man-bap ki ghar se nikle
chhu nahin saktin zamane ki balaen hum ko
talKH lagti hai buzurgon ki hidayat magar
faeda deti hain kuchh kaDwi dawaen hum ko
ja ke pardes mein ulfat ko tarasne ke siwa
aur hijrat se mila kya wo bataen hum ko
hum to hain 'aks' charagh-e-fan-e-afkar-e-suKHan
ho hawaon mein agar dam to bujhaen hum ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.