un labon par saji hai KHamoshi
un laboñ par sajī hai ḳhāmoshī
phir bhī kuchh boltī hai ḳhāmoshī
dil kī har baat dil samajhtā hai
'ishq meñ lāzmī hai ḳhāmoshī
fāsla koī aa gayā hogā
donoñ jānib baḌhī hai ḳhāmoshī
sochtī huuñ tamām duniyā meñ
kyoñ usī ko milī hai ḳhāmoshī
dhīmī āvāz meñ kaho jo bhī
raat meñ jāgtī hai ḳhāmoshī
band kis ne kiyā hai āñkhoñ ko
bazm meñ chhā ga.ī hai ḳhāmoshī
jab bhī 'gauhar' ġhazal sunātī hai
ḳhud-ba-ḳhud TūTtī hai ḳhāmoshī
un labon par saji hai KHamoshi
phir bhi kuchh bolti hai KHamoshi
dil ki har baat dil samajhta hai
'ishq mein lazmi hai KHamoshi
fasla koi aa gaya hoga
donon jaanib baDhi hai KHamoshi
sochti hun tamam duniya mein
kyon usi ko mili hai KHamoshi
dhimi aawaz mein kaho jo bhi
raat mein jagti hai KHamoshi
band kis ne kiya hai aankhon ko
bazm mein chha gai hai KHamoshi
jab bhi 'gauhar' ghazal sunati hai
KHud-ba-KHud TuTti hai KHamoshi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.