un pe aati hi nahin hosh ki tohmat koi
un pe aatī hī nahīñ hosh kī tohmat koī
jin ko hotī hai tire naam se nisbat koī
ishq kī shakl koī husn kī sūrat koī
bā.is-e-lutf koī bā.is-e-hairat koī
pairahan jhuuT ke pahnāo magar yaad rahe
chhup nahīñ saktī kisī tarah sadāqat koī
sirf dīvāne samajh sakte haiñ rāz-e-hastī
kab khulī aql ke māroñ pe haqīqat koī
vaqt us shaḳhs ko nābūd karegā ik din
jis kī nazroñ meñ nahīñ vaqt kī qīmat koī
maiñ ne sīkhā hī nahīñ hosh meñ aanā 'raushan'
ishq huuñ ishq nahīñ hosh se nisbat koī
un pe aati hi nahin hosh ki tohmat koi
jin ko hoti hai tere nam se nisbat koi
ishq ki shakl koi husn ki surat koi
bais-e-lutf koi bais-e-hairat koi
pairahan jhuT ke pahnao magar yaad rahe
chhup nahin sakti kisi tarah sadaqat koi
sirf diwane samajh sakte hain raaz-e-hasti
kab khuli aql ke maron pe haqiqat koi
waqt us shaKHs ko nabud karega ek din
jis ki nazron mein nahin waqt ki qimat koi
main ne sikha hi nahin hosh mein aana 'raushan'
ishq hun ishq nahin hosh se nisbat koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.