un se ab apni mulaqat nahin hoti hai
un se ab apnī mulāqāt nahīñ hotī hai
pur-ziyā bazm-e-ḳhayālāt nahīñ hotī hai
giit sāvan kā koī gaa.e to gaa.e kaise
kaif meñ Duubī vo barsāt nahīñ hotī hai
dil ke kaase ko ujāle kī zarūrat hai magar
husn vāloñ kī bhī ḳhairāt nahīñ hotī hai
is qadar gardish-e-hālāt meñ uljhā huuñ ki bas
ḳhud se bhī apnī mulāqāt nahīñ hotī hai
dil meñ añgḌā.iyāñ le le ke rahī jaatī hai
munkashif shoḳhi-e-jazbāt nahīñ hotī hai
un se milne kī tamannā.eñ machaltī haiñ magar
aisī ab sūrat-e-hālāt nahīñ hotī hai
raat phir sub.h ke dāman meñ chalī jā.egī
guftugū kī bhī shurūāt nahīñ hotī hai
kuchh na kuchh is meñ haqīqat kā bhī rahtā hai fusūñ
koī farsūda rivāyāt nahīñ hotī hai
vo bhī rahte haiñ ḳhayālāt kī duniyā meñ magan
'shād' ham se bhī koī baat nahīñ hotī hai
un se ab apni mulaqat nahin hoti hai
pur-ziya bazm-e-KHayalat nahin hoti hai
git sawan ka koi gae to gae kaise
kaif mein Dubi wo barsat nahin hoti hai
dil ke kase ko ujale ki zarurat hai magar
husn walon ki bhi KHairaat nahin hoti hai
is qadar gardish-e-haalat mein uljha hun ki bas
KHud se bhi apni mulaqat nahin hoti hai
dil mein angDaiyan le le ke rahi jati hai
munkashif shoKHi-e-jazbaat nahin hoti hai
un se milne ki tamannaen machalti hain magar
aisi ab surat-e-haalat nahin hoti hai
raat phir subh ke daman mein chali jaegi
guftugu ki bhi shuruat nahin hoti hai
kuchh na kuchh is mein haqiqat ka bhi rahta hai fusun
koi farsuda riwayat nahin hoti hai
wo bhi rahte hain KHayalat ki duniya mein magan
'shad' hum se bhi koi baat nahin hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.