un se do aankh se aansu bhi bahae na gae
un se do aañkh se aañsū bhī bahā.e na ga.e
qabr-e-āshiq ke nishāñ bhī to miTā.e na ga.e
ham miTe bhī to miTe ḳhaak jo hasrat na miTī
ham ga.e bhī to ga.e kyā jo bulā.e na ga.e
bazm-e-dushman meñ abhī the abhī apne ghar meñ
aa ke yuuñ baiThe ki jaise kahīñ aa.e na ga.e
barq kahiye ki chhalāvā jo chamak dikhlā kar
is tarah aa.e ki aa.e bhī aur aa.e na ga.e
haiñ vo 'āshiq' ki jagah pā ke na nikle dil se
yaad aa.e to junūñ mujh se bhulā.e na ga.e
un se do aankh se aansu bhi bahae na gae
qabr-e-ashiq ke nishan bhi to miTae na gae
hum miTe bhi to miTe KHak jo hasrat na miTi
hum gae bhi to gae kya jo bulae na gae
bazm-e-dushman mein abhi the abhi apne ghar mein
aa ke yun baiThe ki jaise kahin aae na gae
barq kahiye ki chhalawa jo chamak dikhla kar
is tarah aae ki aae bhi aur aae na gae
hain wo 'ashiq' ki jagah pa ke na nikle dil se
yaad aae to junun mujh se bhulae na gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.