un se izhaar-e-KHwahishat na kar
un se iz.hār-e-ḳhvāhishāt na kar
aur taaza ġham-e-hayāt na kar
jis se ai dost dil ko Thes lage
mujh se lillāh aisī baat na kar
ruḳh pe is tarah kākuleñ na bikher
sub.h-e-raushan ko kaalī raat na kar
rāh-rau mil hī jā.egī manzil
haañ agar ḳhauf-e-mushkilāt na kar
āḳhirat kā ḳhayāl hī na rahe
is qadar fikr-e-kā.enāt na kar
zindagī hai to hādse haiñ 'nasīr'
muft meñ fikr-e-hādsāt na kar
un se izhaar-e-KHwahishat na kar
aur taza gham-e-hayat na kar
jis se ai dost dil ko Thes lage
mujh se lillah aisi baat na kar
ruKH pe is tarah kakulen na bikher
subh-e-raushan ko kali raat na kar
rah-rau mil hi jaegi manzil
han agar KHauf-e-mushkilat na kar
aaKHirat ka KHayal hi na rahe
is qadar fikr-e-kaenat na kar
zindagi hai to hadse hain 'nasir'
muft mein fikr-e-hadsat na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.