un se kuchh baat pe main ruTh ke kya baiTh gaya
un se kuchh baat pe maiñ ruuTh ke kyā baiTh gayā
mujh se phir ho ke har ik shaḳhs ḳhafā baiTh gayā
us ne kuchh apnī sunā.ī na sunī kuchh merī
vo bhī baiThā thā judā maiñ bhī judā baiTh gayā
paane manzil ko musalsal hī chalā huuñ lekin
jab nazar aa ga.ī manzil to zarā baiTh gayā
saarī duniyā se hī ab tark-e-ta'alluq kar ke
tere darbār meñ maiñ aa ke ḳhudā baiTh gayā
bazm meñ yuuñ to ka.ī log the terī lekin
sun ke maiñ bhī tirī paa.el kī sadā baiTh gayā
imtihāñ yuuñ to liye kitnoñ ke us ne lekin
sirf ik maiñ hī thā jo us meñ kharā baiTh gayā
ho ke āzād qafas se vo parinda 'ātif'
itnā zaḳhmī thā zarā der uḌā baiTh gayā
un se kuchh baat pe main ruTh ke kya baiTh gaya
mujh se phir ho ke har ek shaKHs KHafa baiTh gaya
us ne kuchh apni sunai na suni kuchh meri
wo bhi baiTha tha juda main bhi juda baiTh gaya
pane manzil ko musalsal hi chala hun lekin
jab nazar aa gai manzil to zara baiTh gaya
sari duniya se hi ab tark-e-ta'alluq kar ke
tere darbar mein main aa ke KHuda baiTh gaya
bazm mein yun to kai log the teri lekin
sun ke main bhi teri pael ki sada baiTh gaya
imtihan yun to liye kitnon ke us ne lekin
sirf ek main hi tha jo us mein khara baiTh gaya
ho ke aazad qafas se wo parinda 'atif'
itna zaKHmi tha zara der uDa baiTh gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.