un se kya rasm-o-rah kar baiThe
un se kyā rasm-o-rāh kar baiThe
dil kī duniyā tabāh kar baiThe
ruk gayā haath mere qātil kā
zer-e-ḳhanjar jab aah kar baiThe
bevafā.ī to un kī thī ma.alūm
phir bhī ham un kī chaah kar baiThe
rahmat-e-haq tire bharose par
ham gunah par gunāh kar baiThe
rū-e-tābāñ ko dekh kar tere
sar ko ḳham mehr-o-māh kar baiThe
sahn-e-gulshan huā ḳhizāñ-bar-dosh
ham qafas meñ jo aah kar baiThe
saarī duniyā huī mirī dushman
vo jo mujh par nigāh kar baiThe
raas aa.ī na ziist jab ham ko
maut se rasm-o-rāh kar baiThe
rahm kyā khā.eñ vo 'samī.a' mujh par
qalb hī jab siyāh kar baiThe
un se kya rasm-o-rah kar baiThe
dil ki duniya tabah kar baiThe
ruk gaya hath mere qatil ka
zer-e-KHanjar jab aah kar baiThe
bewafai to un ki thi malum
phir bhi hum un ki chah kar baiThe
rahmat-e-haq tere bharose par
hum gunah par gunah kar baiThe
ru-e-taban ko dekh kar tere
sar ko KHam mehr-o-mah kar baiThe
sahn-e-gulshan hua KHizan-bar-dosh
hum qafas mein jo aah kar baiThe
sari duniya hui meri dushman
wo jo mujh par nigah kar baiThe
ras aai na zist jab hum ko
maut se rasm-o-rah kar baiThe
rahm kya khaen wo 'samia' mujh par
qalb hi jab siyah kar baiThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.