Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

un se milne ka irada hai qaza se pahle

Shaista Mufti

un se milne ka irada hai qaza se pahle

Shaista Mufti

MORE BYShaista Mufti

    un se milne irāda hai qazā se pahle

    kyuuñ na dil khol ke luuñ maiñ sazā se pahle

    is havāle se shāyad use pahchān sakūñ

    ḳhud ko pahchān luuñ gar apne ḳhudā se pahle

    zard mausam thī tamsīl mirī āñkhoñ meñ

    rang kuchh aur bhī guzre haiñ ḳhalā se pahle

    vaqt mādūm hai aur dahr ke andāz judā

    kuchh bhī mumkin hai muqaddar meñ qazā se pahle

    terī mahfil taraf lauT ke jā.ūñ kaise

    pūchh to luuñ dil-e-āshufta-adā se pahle

    kaise is ḳhvāb ko TuuTā huā dekhegī sahar

    shauq ke diip bujhā duuñ maiñ jafā se pahle

    un se milne ka irada hai qaza se pahle

    kyun na dil khol ke ji lun main saza se pahle

    is hawale se hi shayad use pahchan sakun

    KHud ko pahchan lun gar apne KHuda se pahle

    zard mausam ki thi tamsil meri aankhon mein

    rang kuchh aur bhi guzre hain KHala se pahle

    waqt madum hai aur dahr ke andaz juda

    kuchh bhi mumkin hai muqaddar mein qaza se pahle

    teri mahfil ki taraf lauT ke jaun kaise

    puchh to lun dil-e-ashufta-ada se pahle

    kaise is KHwab ko TuTa hua dekhegi sahar

    shauq ke dip bujha dun main jafa se pahle

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now