muddaton mein jab mile to pas aa kar ro paDe
muddatoñ meñ jab mile to paas aa kar ro paḌe
khil uThe the vo achānak muskurā kar ro paḌe
un se pūchhā maiñ ne jab tark-e-ta.alluq kā sabab
vo mujhe hīroñ jaḌe kangan dikhā kar ro paḌe
jo mirī barbādiyoñ kī sāzisheñ karte rahe
vo fasādī kyoñ mirā chhappar jalā kar ro paḌe
tum se kuchh kahnā hai mujh ko roz kahlāte the vo
mil ga.e to bas laboñ ko kapkapā kar ro paḌe
vaqt-e-ruḳhsat to kahā hañs kar ḳhudā-hāfiz magar
sabr kā jab bāñdh TuuTā duur jā kar ro paḌe
haal jab pūchhā to 'rāhat' ho na paayā zabt-e-hāl
daf.atan āñchal meñ vo chehra chhupā kar ro paḌe
muddaton mein jab mile to pas aa kar ro paDe
khil uThe the wo achanak muskura kar ro paDe
un se puchha main ne jab tark-e-talluq ka sabab
wo mujhe hiron jaDe kangan dikha kar ro paDe
jo meri barbaadiyon ki sazishen karte rahe
wo fasadi kyon mera chhappar jala kar ro paDe
tum se kuchh kahna hai mujh ko roz kahlate the wo
mil gae to bas labon ko kapkapa kar ro paDe
waqt-e-ruKHsat to kaha hans kar KHuda-hafiz magar
sabr ka jab bandh TuTa dur ja kar ro paDe
haal jab puchha to 'rahat' ho na paya zabt-e-haal
dafatan aanchal mein wo chehra chhupa kar ro paDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.