un se zahe-nasib mulaqat ho gai
un se zahe-nasib mulaqat ho gai
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
MORE BYMumtaz Ahmad Khan Khushtar
un se zahe-nasīb mulāqāt ho ga.ī
bole bhī kuchh nahīñ to baḌī baat ho ga.ī
āshiq fareb-e-va.ada-e-fardā meñ aa gayā
jaise tumhārī baat koī baat ho ga.ī
dil par jamā jo rang junūn-e-bahār kā
merī ḳhirad bhī shāmil-e-hālāt ho ga.ī
rūThe hue se ham-nafas-o-ham-ḳhayāl haiñ
aise ki jaise ham se koī baat ho ga.ī
vahm-o-gumāñ sab un ke tasavvur meñ bas ga.e
bazm-e-hayāt bazm-e-ḳhayālāt ho ga.ī
tār-e-nafas ne sāz-e-ġham-e-dil sunā diyā
dil kī lagī bhī shāmil-e-naġhmāt ho ga.ī
karne lage gunāh bhī tauba ye kyā huā
kyā bazm-e-zīst bazm-e-ḳhurāfāt ho ga.ī
duniyā kā khel aur bisāt-e-tavahhumāt
āḳhir yahī huā ki hameñ maat ho ga.ī
apnā liyā unhoñ ne to aalam badal gayā
jins-e-vafā jahān meñ sauġhāt ho ga.ī
'ḳhushtar' vo qadr-dānoñ meñ sāz-e-tarab banī
apnī ġhazal bhī hāsil-e-naġhmāt ho ga.ī
un se zahe-nasib mulaqat ho gai
bole bhi kuchh nahin to baDi baat ho gai
aashiq fareb-e-wada-e-farda mein aa gaya
jaise tumhaari baat koi baat ho gai
dil par jama jo rang junun-e-bahaar ka
meri KHirad bhi shamil-e-haalat ho gai
ruThe hue se ham-nafas-o-ham-KHayal hain
aise ki jaise hum se koi baat ho gai
wahm-o-guman sab un ke tasawwur mein bas gae
bazm-e-hayat bazm-e-KHayalat ho gai
tar-e-nafas ne saz-e-gham-e-dil suna diya
dil ki lagi bhi shamil-e-naghmat ho gai
karne lage gunah bhi tauba ye kya hua
kya bazm-e-zist bazm-e-KHurafat ho gai
duniya ka khel aur bisat-e-tawahhumat
aaKHir yahi hua ki hamein mat ho gai
apna liya unhon ne to aalam badal gaya
jins-e-wafa jahan mein saughat ho gai
'KHushtar' wo qadr-danon mein saz-e-tarab bani
apni ghazal bhi hasil-e-naghmat ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.