ungliyan apne lahu mein jo Dubo lijega
uñgliyāñ apne lahū meñ jo Dubo lījegā
is nazāre ko dil-o-jāñ meñ samo lījegā
itnā nāzuk hai tasavvur bhī kisī chehre kā
Tuut jā.egā agar saañs bhī jo lījegā
mustaqil jāgte rahnā bhī burī 'ādat hai
raat kī raat sahī aaj to so lījegā
dhuup ke shahr meñ jaane se zarā kuchh pahle
apnī hastī ko añdhere meñ Dubo lījegā
phuul to ab nahīñ khilne ke yahāñ 'ḳhālid' jī
dil ke āñgan meñ koī dard hī bo lījegā
ungliyan apne lahu mein jo Dubo lijega
is nazare ko dil-o-jaan mein samo lijega
itna nazuk hai tasawwur bhi kisi chehre ka
Tut jaega agar sans bhi jo lijega
mustaqil jagte rahna bhi buri 'adat hai
raat ki raat sahi aaj to so lijega
dhup ke shahr mein jaane se zara kuchh pahle
apni hasti ko andhere mein Dubo lijega
phul to ab nahin khilne ke yahan 'KHalid' ji
dil ke aangan mein koi dard hi bo lijega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.