Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ungliyan KHud pe uThao to koi baat bane

Shyam Vashishtha Shahid

ungliyan KHud pe uThao to koi baat bane

Shyam Vashishtha Shahid

MORE BYShyam Vashishtha Shahid

    uñgliyāñ ḳhud pe uThāo to koī baat bane

    aa.ina sāmne laao to koī baat bane

    aaj ham chāñd sitāroñ ke pare pahuñche

    ḳhud ko ab DhūñD ke laao to koī baat bane

    apnī 'umroñ se baḌe ho ga.e bachche yaaro

    in ke bachpan ko bachāo to koī baat bane

    tum mujhe bhuul chuke ho to koī baat nahīñ

    tum mujhe yaad na aao to koī baat bane

    in makānoñ qatāroñ ko zarā dekho to

    in meñ ghar ek dikhāo to koī baat bane

    īñT-patthar ke ye jangal nahīñ deñge sāñseñ

    roz kuchh peḌ lagāo to koī baat bane

    budhdh hone ke liye bhāgnā ghar se hai ġhalat

    dil na apnoñ dukhāo to koī baat bane

    ḳhud-kushī to kabhī achchhī nahīñ ho saktī hai

    zindagī ke dikhāo to koī baat bane

    ungliyan KHud pe uThao to koi baat bane

    aaina samne lao to koi baat bane

    aaj hum chand sitaron ke pare ja pahunche

    KHud ko ab DhunD ke lao to koi baat bane

    apni 'umron se baDe ho gae bachche yaro

    in ke bachpan ko bachao to koi baat bane

    tum mujhe bhul chuke ho to koi baat nahin

    tum mujhe yaad na aao to koi baat bane

    in makanon ki qataron ko zara dekho to

    in mein ghar ek dikhao to koi baat bane

    inT-patthar ke ye jangal nahin denge sansen

    roz kuchh peD lagao to koi baat bane

    budhdh hone ke liye bhagna ghar se hai ghalat

    dil na apnon ka dukhao to koi baat bane

    KHud-kushi to kabhi achchhi nahin ho sakti hai

    zindagi ji ke dikhao to koi baat bane

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now