ungliyon se jab ishaare guftugu karne lage
uñgliyoñ se jab ishāre guftugū karne lage
sab ne dekhā chāñd taare guftugū karne lage
lafz us ne hī samo.e haiñ har ik guftār meñ
dī zabāñ to lab hamāre guftugū karne lage
apnā haq māñgā thā us se kāñpte alfāz meñ
us kī āñkhoñ se sharāre guftugū karne lage
dekhtā hai kaun ab apnā garebāñ jhāñk kar
mere baare meñ to saare guftugū karne lage
jab daraḳhtoñ par chaḌhā mausam ke nashshe kā surūr
shāḳh par ālū-buḳhāre guftugū karne lage
ungliyon se jab ishaare guftugu karne lage
sab ne dekha chand tare guftugu karne lage
lafz us ne hi samoe hain har ek guftar mein
di zaban to lab hamare guftugu karne lage
apna haq manga tha us se kanpte alfaz mein
us ki aankhon se sharare guftugu karne lage
dekhta hai kaun ab apna gareban jhank kar
mere bare mein to sare guftugu karne lage
jab daraKHton par chaDha mausam ke nashshe ka surur
shaKH par aalu-buKHare guftugu karne lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.