unhen bhi ek nazar dekh dur jate hue
unheñ bhī ek nazar dekh duur jaate hue
jo ro rahe haiñ muqaddar ke giit gaate hue
ḳhizāñ meñ kāġhazī gul se bahār laate hue
udaas logoñ ko dekhā hai muskurāte hue
zarā sī der pas-e-parda mujh ko rone de
maiñ thak gayā tirī mahfil meñ muskurāte hue
jo sun ke dekhā to jaanā ki ro rahī hai bahut
ye saañs aaj bhī shahnā.iyāñ bajāte hue
qarīb aane kā kahtā hai duur jā ke mujhe
vo dard bāñTne lagtā hai dil dukhāte hue
saroñ pe dhuup to pairoñ meñ aable pahne
hamārī umr kaTī hai bharam bachāte hue
mujhe lagā hai use bhī mirī zarūrat hai
vo aaj royā hai mujh ko gale lagāte hue
Thahar gayā thā yahāñ mausam-e-ḳhizāñ 'shāhid'
ki sar jhaḌe haiñ chaman meñ bahār laate hue
unhen bhi ek nazar dekh dur jate hue
jo ro rahe hain muqaddar ke git gate hue
KHizan mein kaghazi gul se bahaar late hue
udas logon ko dekha hai muskuraate hue
zara si der pas-e-parda mujh ko rone de
main thak gaya teri mahfil mein muskuraate hue
jo sun ke dekha to jaana ki ro rahi hai bahut
ye sans aaj bhi shahnaiyan bajate hue
qarib aane ka kahta hai dur ja ke mujhe
wo dard banTne lagta hai dil dukhate hue
saron pe dhup to pairon mein aable pahne
hamari umr kaTi hai bharam bachate hue
mujhe laga hai use bhi meri zarurat hai
wo aaj roya hai mujh ko gale lagate hue
Thahar gaya tha yahan mausam-e-KHizan 'shahid'
ki sar jhaDe hain chaman mein bahaar late hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.