unhen dekhte hi fida ho gae hum
unhen dekhte hi fida ho gae hum
Hans Raj Sachdev 'hazii.n'
MORE BYHans Raj Sachdev 'hazii.n'
unheñ dekhte hī fidā ho ga.e ham
mohabbat meñ yuuñ mubtalā ho ga.e ham
mire lab pe aa.ī tamannā to bole
haTo chhoḌ jaao ḳhafā ho ga.e ham
zamāne se chhup kar mile the kisī se
zamāne ne dekhā judā ho ga.e ham
kabhī tū ne sochā kabhī tū ne samjhā
tire hijr meñ kyā se kyā ho ga.e ham
rah-e-ishq meñ thak ga.e chalte chalte
to raahī se ḳhud rahnumā ho ga.e ham
tabassum hañsī be-ruḳhī be-hijābī
tirī har adā par fidā ho ga.e ham
'hazīñ' koī itnā batā de ḳhudā-rā
javānī meñ kyuuñ pārsā ho ga.e ham
unhen dekhte hi fida ho gae hum
mohabbat mein yun mubtala ho gae hum
mere lab pe aai tamanna to bole
haTo chhoD jao KHafa ho gae hum
zamane se chhup kar mile the kisi se
zamane ne dekha juda ho gae hum
kabhi tu ne socha kabhi tu ne samjha
tere hijr mein kya se kya ho gae hum
rah-e-ishq mein thak gae chalte chalte
to rahi se KHud rahnuma ho gae hum
tabassum hansi be-ruKHi be-hijabi
teri har ada par fida ho gae hum
'hazin' koi itna bata de KHuda-ra
jawani mein kyun parsa ho gae hum
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 140)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.