unhen dushman se milne ki paDi hai
unheñ dushman se milne kī paḌī hai
yahāñ betābī-e-ġham har ghaḌī hai
kisī sūrat ġham-e-furqat saheñge
kareñ kyā ab to sar par aa paḌī hai
bañdhā hai āñsuoñ kā taar ġham meñ
vo farmāte haiñ sāvan kī jhaḌī hai
chale jaao zarā Thokar lagā kar
hamārī laash raste meñ paḌī hai
nigāh-e-yār sharmā.ī huī hai
ḳhudā mā'lūm kis kis se laḌī hai
nahīñ hai pāsbāñ dar par tumhāre
qayāmat hai ki ḳhud aa kar khaḌī hai
adā-e-ishq se kab āshnā the
tabī'at aap hī se kuchh laḌī hai
taḌapte zindagī bhar us ko dekhā
nazar jis par tirī jā kar paḌī hai
na kyoñ qaa.il huuñ us sannā.a kā maiñ
ye sūrat jis ne fursat meñ ghaḌī hai
na.e raste nikāle shauq ne phir
tabī'at jab kabhī apnī aḌī hai
hujūm itnā hai kyoñ dar par tumhāre
yahāñ kyā husn kī daulat gaḌī hai
nahīñ hai dil meñ ye sūrat kisī kī
koī tasvīr shīshe meñ jaḌī hai
tumhārā naam hai har dam zabāñ par
tumhārī yaad dil ko har ghaḌī hai
ye hai kis fitna-gar kī aamad aamad
jigar thāme hue ḳhilqat khaḌī hai
ġham-e-furqat se kyūñkar jaan chhūTe
baḌī mushkil meñ ab ye jā paḌī hai
'ayādat ko marīz-e-ġham kī aao
ki us kī maut ab sar par khaḌī hai
abhī se vasl kā armān ai dil
abhī to hijr kī manzil paḌī hai
muqaddar ne diyā hai saath kyā kyā
nigah us but se haT haT kar laḌī hai
tumhāre lab ko kyā nisbat kisī se
gul-e-tar kī ye nāzuk pankhuḌī hai
sañbhal kar rāh-e-ulfat meñ qadam rakh
are nādān ye manzil kaḌī hai
mohabbat meñ jo dil uljhā hai dil se
nazar un kī nazar se jā laḌī hai
kiyā hai muntaḳhab dil ne unhīñ ko
nazar lākhoñ meñ un par jā paḌī hai
milā hai 'ishq meñ jo ranj 'hājir'
vo us zanjīr kī pahlī kaḌī hai
unhen dushman se milne ki paDi hai
yahan betabi-e-gham har ghaDi hai
kisi surat gham-e-furqat sahenge
karen kya ab to sar par aa paDi hai
bandha hai aansuon ka tar gham mein
wo farmate hain sawan ki jhaDi hai
chale jao zara Thokar laga kar
hamari lash raste mein paDi hai
nigah-e-yar sharmai hui hai
KHuda ma'lum kis kis se laDi hai
nahin hai pasban dar par tumhaare
qayamat hai ki KHud aa kar khaDi hai
ada-e-ishq se kab aashna the
tabi'at aap hi se kuchh laDi hai
taDapte zindagi bhar us ko dekha
nazar jis par teri ja kar paDi hai
na kyon qail hun us sannaa ka main
ye surat jis ne fursat mein ghaDi hai
nae raste nikale shauq ne phir
tabi'at jab kabhi apni aDi hai
hujum itna hai kyon dar par tumhaare
yahan kya husn ki daulat gaDi hai
nahin hai dil mein ye surat kisi ki
koi taswir shishe mein jaDi hai
tumhaara nam hai har dam zaban par
tumhaari yaad dil ko har ghaDi hai
ye hai kis fitna-gar ki aamad aamad
jigar thame hue KHilqat khaDi hai
gham-e-furqat se kyunkar jaan chhuTe
baDi mushkil mein ab ye ja paDi hai
'ayaadat ko mariz-e-gham ki aao
ki us ki maut ab sar par khaDi hai
abhi se wasl ka arman ai dil
abhi to hijr ki manzil paDi hai
muqaddar ne diya hai sath kya kya
nigah us but se haT haT kar laDi hai
tumhaare lab ko kya nisbat kisi se
gul-e-tar ki ye nazuk pankhuDi hai
sanbhal kar rah-e-ulfat mein qadam rakh
are nadan ye manzil kaDi hai
mohabbat mein jo dil uljha hai dil se
nazar un ki nazar se ja laDi hai
kiya hai muntaKHab dil ne unhin ko
nazar lakhon mein un par ja paDi hai
mila hai 'ishq mein jo ranj 'hajir'
wo us zanjir ki pahli kaDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.