unhen fikr-e-marg-o-hayat kya teri rahguzar mein jo aa gae
unhen fikr-e-marg-o-hayat kya teri rahguzar mein jo aa gae
Prem Lal Shifa Dehlvi
MORE BYPrem Lal Shifa Dehlvi
unheñ fikr-e-marg-o-hayāt kyā tirī rahguzar meñ jo aa ga.e
kabhī rahguzar se uThe agar to hayāt-o-maut pe chhā ga.e
vo shabāb kī tarah lamha-bhar rahe zindagī meñ mirī magar
jinheñ 'umr bhar na miTā sakā vo nuqūsh dil pe banā ga.e
vo ġham-e-hayāt kā silsila ki muhāl thā jise toḌnā
mujhe kuchh bhī yaad nahīñ rahā kabhī yaad vo agar aa ga.e
jo vo be-niyāz-e-vafā rahā to ye us kā apnā shi'ār thā
hameñ bevafā se nahīñ gila ki ham apnā farz nibhā ga.e
na milā hameñ koī rāhbar mile band dair-o-haram ke dar
ye junūn-e-shauq kā thā asar ki harīm-e-husn tak aa ga.e
yahī dil thā jis meñ muqīm thā jise chhoḌ kar vo chalā gayā
ise kaun aa ke sañbhāltā hamīñ aa.e ashk bahā ga.e
na milā jabīñ ko jo dar tirā to malāl kyā tū kahāñ na thā
jahāñ ham ne sar ko jhukā diyā vahīñ sajda-gāh banā ga.e
vo hayāt vaqf-e-firāq thī dam-e-marg bhī tirī yaad thī
yahī dāstān-e-hayāt thī jise hichkiyoñ meñ sunā ga.e
bahe ġham meñ ashk to kyā huā tire dil kā mail to dhul gayā
jo samajh sake to samajh 'shifā' vo hañsā ga.e ki rulā ga.e
unhen fikr-e-marg-o-hayat kya teri rahguzar mein jo aa gae
kabhi rahguzar se uThe agar to hayat-o-maut pe chha gae
wo shabab ki tarah lamha-bhar rahe zindagi mein meri magar
jinhen 'umr bhar na miTa saka wo nuqush dil pe bana gae
wo gham-e-hayat ka silsila ki muhaal tha jise toDna
mujhe kuchh bhi yaad nahin raha kabhi yaad wo agar aa gae
jo wo be-niyaz-e-wafa raha to ye us ka apna shi'ar tha
hamein bewafa se nahin gila ki hum apna farz nibha gae
na mila hamein koi rahbar mile band dair-o-haram ke dar
ye junun-e-shauq ka tha asar ki harim-e-husn tak aa gae
yahi dil tha jis mein muqim tha jise chhoD kar wo chala gaya
ise kaun aa ke sanbhaalta hamin aae ashk baha gae
na mila jabin ko jo dar tera to malal kya tu kahan na tha
jahan hum ne sar ko jhuka diya wahin sajda-gah bana gae
wo hayat waqf-e-firaq thi dam-e-marg bhi teri yaad thi
yahi dastan-e-hayat thi jise hichkiyon mein suna gae
bahe gham mein ashk to kya hua tere dil ka mail to dhul gaya
jo samajh sake to samajh 'shifa' wo hansa gae ki rula gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.