unhen haqiqat-e-ah-o-fughan nahin malum
unheñ haqīqat-e-āh-o-fuġhāñ nahīñ ma.alūm
kahāñ hai aag kidhar hai dhuāñ nahīñ ma.alūm
kisī kī yaad jab aatī hai Duub jaatā hai
kuchh aur hāl-e-dil-e-nā-tavāñ nahīñ ma.alūm
badal ke ḳhush haiñ vo andāz-e-jaur ko apne
badal chukā huuñ maiñ tarz-e-fuġhāñ nahīñ ma.alūm
ġham-e-chaman ke sile meñ milā qafas hamdam
abhī ma.āl-e-ġham-e-āshiyāñ nahīñ ma.alūm
nazar-farebī-e-husn-e-butāñ kā qaa.il huuñ
fareb-kārī-e-ahl-e-jahāñ nahīñ ma.alūm
abhī hai sahn-e-chaman meñ abhī nasheman par
giregī aaj ye bijlī kahāñ nahīñ ma.alūm
zabāñ pe ġhuncha-o-gul kī ubuur hai lekin
mujhe ḳhud apne hī dil kī zabāñ nahīñ ma.alūm
nafas kī āmad-o-shud kī hai be-nishāñ manzil
kahāñ pe jā ke ruke kārvāñ nahīñ ma.alūm
hazāroñ dar pe jhukāyā hai sar magar 'nātiq'
jabīñ ke saath jhukā dil kahāñ nahīñ ma.alūm
unhen haqiqat-e-ah-o-fughan nahin malum
kahan hai aag kidhar hai dhuan nahin malum
kisi ki yaad jab aati hai Dub jata hai
kuchh aur haal-e-dil-e-na-tawan nahin malum
badal ke KHush hain wo andaz-e-jaur ko apne
badal chuka hun main tarz-e-fughan nahin malum
gham-e-chaman ke sile mein mila qafas hamdam
abhi maal-e-gham-e-ashiyan nahin malum
nazar-farebi-e-husn-e-butan ka qail hun
fareb-kari-e-ahl-e-jahan nahin malum
abhi hai sahn-e-chaman mein abhi nasheman par
giregi aaj ye bijli kahan nahin malum
zaban pe ghuncha-o-gul ki ubur hai lekin
mujhe KHud apne hi dil ki zaban nahin malum
nafas ki aamad-o-shud ki hai be-nishan manzil
kahan pe ja ke ruke karwan nahin malum
hazaron dar pe jhukaya hai sar magar 'natiq'
jabin ke sath jhuka dil kahan nahin malum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.