unhen KHabar thi jo pahlu badal rahe the mere
unheñ ḳhabar thī jo pahlū badal rahe the mire
maiñ mar chukā thā magar saañs chal rahe the mire
tire safar kī aziyyat ne mujh ko maar diyā
to chal rahā thā magar paañv jal rahe the mire
bichhaḌte vaqt vo Dhāras bañdhā rahā thā mirī
maiñ hañs rahā thā aur aañsū nikal rahe the mire
jahāñ jahāñ pe tire tiir lag rahe the mujhe
vahāñ vahāñ se na.e par nikal rahe the mire
unhen KHabar thi jo pahlu badal rahe the mere
main mar chuka tha magar sans chal rahe the mere
tere safar ki aziyyat ne mujh ko mar diya
to chal raha tha magar panw jal rahe the mere
bichhaDte waqt wo Dhaaras bandha raha tha meri
main hans raha tha aur aansu nikal rahe the mere
jahan jahan pe tere tir lag rahe the mujhe
wahan wahan se nae par nikal rahe the mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.