unhen maqsud agar tark-e-watan ki aazmaish hai
unheñ maqsūd agar tark-e-vatan kī āzmā.ish hai
to ham samjheñge ab rasm-e-kuhan kī āzmā.ish hai
vo kyā koī sikandar haiñ jo ye elaan karte haiñ
hamārī fard meñ dār-o-rasan kī āzmā.ish hai
muhibbān-e-vatan haiñ ham hamārī āzmā.ish hai
hameñ darkār ḳhud nang-e-vatan kī āzmā.ish hai
suḳhan-dāñ ko bhī shāyad imtihāñ maqsūd hai apnā
jo har har lafz meñ bābā-e-fan kī āzmā.ish hai
'ziyā' ke zehn meñ ta.aqīd-e-lafzī hai to hairat kyā
use bhī apne a.alā fikr-o-fan kī āzmā.ish he
unhen maqsud agar tark-e-watan ki aazmaish hai
to hum samjhenge ab rasm-e-kuhan ki aazmaish hai
wo kya koi sikandar hain jo ye elan karte hain
hamari fard mein dar-o-rasan ki aazmaish hai
muhibban-e-watan hain hum hamari aazmaish hai
hamein darkar KHud nang-e-watan ki aazmaish hai
suKHan-dan ko bhi shayad imtihan maqsud hai apna
jo har har lafz mein baba-e-fan ki aazmaish hai
'ziya' ke zehn mein taqid-e-lafzi hai to hairat kya
use bhi apne aala fikr-o-fan ki aazmaish he
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.