unhen qaid karne ki koshish hai kaisi
unheñ qaid karne kī koshish hai kaisī
ḳhalā meñ sadāoñ kī bandish hai kaisī
nihāñ mujh meñ hai aur mere badan kā
lahū chāTtī hai jo ḳhvāhish hai kaisī
mujhe muskurāne kī kis ne sazā dī
mirī zaat par ye navāzish hai kaisī
milī ḳhushbuoñ ke jazīre kī dāvat
mujhe phir rulāne kī sāzish hai kaisī
muqaddar meñ hai jab hamāre añdhere
nazar meñ sarābī sī tābish hai kaisī
nagar hai ye phūloñ kā to phir yahāñ par
chaTāneñ ugāne kī kāvish hai kaisī
bahut shaad ābād rakhnā thā us ko
zamīn par lahū kī ye bārish hai kaisī
unhen qaid karne ki koshish hai kaisi
KHala mein sadaon ki bandish hai kaisi
nihan mujh mein hai aur mere badan ka
lahu chaTti hai jo KHwahish hai kaisi
mujhe muskurane ki kis ne saza di
meri zat par ye nawazish hai kaisi
mili KHushbuon ke jazire ki dawat
mujhe phir rulane ki sazish hai kaisi
muqaddar mein hai jab hamare andhere
nazar mein sarabi si tabish hai kaisi
nagar hai ye phulon ka to phir yahan par
chaTanen ugane ki kawish hai kaisi
bahut shad aabaad rakhna tha us ko
zamin par lahu ki ye barish hai kaisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.