unhen yaad jab un ke wade dilae
unheñ yaad jab un ke va.ade dilā.e
jabīñ par sitāre se kuchh jhilmilā.e
yakāyak mire sāmne jab vo aa.e
nazar jhuk ga.ī aur qadam Dagmagā.e
tasavvur meñ ġhaltāñ ḳhayāloñ meñ pinhāñ
kahāñ tak koī un se dāman bachā.e
kiyā hai tire ġham kā yuuñ ḳhair-maqdam
masarrat meñ jaise koī muskurā.e
unheñ mudda.ā-e-ġham-e-dil sunā kar
musībat ḳharīdī hai baiThe-biThā.e
mile bārhā un se ai 'fauq' yuuñ to
magar aaj tak raaz un ke na paa.e
unhen yaad jab un ke wade dilae
jabin par sitare se kuchh jhilmilae
yakayak mere samne jab wo aae
nazar jhuk gai aur qadam Dagmagae
tasawwur mein ghaltan KHayalon mein pinhan
kahan tak koi un se daman bachae
kiya hai tere gham ka yun KHair-maqdam
masarrat mein jaise koi muskurae
unhen muddaa-e-gham-e-dil suna kar
musibat KHaridi hai baiThe-biThae
mile barha un se ai 'fauq' yun to
magar aaj tak raaz un ke na pae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.