unhen zamin ki unhen aasman nahin milta
unheñ zamīñ ki unheñ āsmāñ nahīñ miltā
nasīb vāloñ ko kyā kyā yahāñ nahīñ miltā
vahāñ kī āb-o-havā mujh ko chāhiye hī nahīñ
jahāñ pe ishq kā nām-o-nishāñ nahīñ miltā
laboñ pe qisse machalte haiñ roz-o-shab kitne
sunā.eñ kis ko koī ham-zabāñ nahīñ miltā
uThā.e bojh jo saare makān kā tanhā
ab aisā duniyā meñ koī javāñ nahīñ miltā
uThā.e hijr ne kuchh aise yaad ke parde
koī bhī fāsla ab darmiyāñ nahīñ miltā
tumhārī pyaas pe qurbān saiñkaḌoñ dariyā
hamārī pyaas ko koī kuaañ nahīñ miltā
agarche dil ke bhī jangal meñ aag lagtī hai
magar 'nisār' kahīñ bhī dhuāñ nahīñ miltā
unhen zamin ki unhen aasman nahin milta
nasib walon ko kya kya yahan nahin milta
wahan ki aab-o-hawa mujh ko chahiye hi nahin
jahan pe ishq ka nam-o-nishan nahin milta
labon pe qisse machalte hain roz-o-shab kitne
sunaen kis ko koi ham-zaban nahin milta
uThae bojh jo sare makan ka tanha
ab aisa duniya mein koi jawan nahin milta
uThae hijr ne kuchh aise yaad ke parde
koi bhi fasla ab darmiyan nahin milta
tumhaari pyas pe qurban sainkaDon dariya
hamari pyas ko koi kuan nahin milta
agarche dil ke bhi jangal mein aag lagti hai
magar 'nisar' kahin bhi dhuan nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.