unhin kanTon se jo phulon ki zaban hote hain
unhīñ kāñToñ se jo phūloñ kī zabāñ hote haiñ
kitne afsāne gulistāñ ke bayāñ hote haiñ
maiñ hī āvāra sā phirtā huuñ kisī kī ḳhātir
log yuuñ raat ko saḌkoñ pe kahāñ hote haiñ
chhoḌ dete haiñ vahāñ dard ke kitne nashtar
ham ġhazal-ḳhvāñ tirī mahfil meñ jahāñ hote haiñ
ek had tak jo bujhā dete the sho.ale dil ke
ab in āñkhoñ meñ vo aañsū bhī kahāñ hote haiñ
ek duniyā-e-ḳhirad dil se lipaT jaatī hai
ham jo us shoḳh kī jānib nigarāñ hote haiñ
ham vo andesha-e-fardā haiñ chaman meñ 'nāzim'
gul ke chehre se jo har aan ayaañ hote haiñ
unhin kanTon se jo phulon ki zaban hote hain
kitne afsane gulistan ke bayan hote hain
main hi aawara sa phirta hun kisi ki KHatir
log yun raat ko saDkon pe kahan hote hain
chhoD dete hain wahan dard ke kitne nashtar
hum ghazal-KHwan teri mahfil mein jahan hote hain
ek had tak jo bujha dete the shoale dil ke
ab in aankhon mein wo aansu bhi kahan hote hain
ek duniya-e-KHirad dil se lipaT jati hai
hum jo us shoKH ki jaanib nigaran hote hain
hum wo andesha-e-farda hain chaman mein 'nazim'
gul ke chehre se jo har aan ayan hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.