unwan hazaron hain ghazal koi nahin hai
unvān hazāroñ haiñ ġhazal koī nahīñ hai
jhīloñ ke manāzir meñ kañval koī nahīñ hai
ai kaash koī dekhe mire zabt kā aalam
be-kal huuñ magar māthe pe bal koī nahīñ hai
har chand ke ham log haiñ firdaus ke ḳhāliq
duniyā meñ magar apnā mahal koī nahīñ hai
haq baat kaho jab bhī kaho jān-e-tamannā
ye baat hai vo jis kā badal koī nahīñ hai
hālāt kī daldal meñ dhañsiī jaatī hai 'mānī'
ab sākit-o-jāmid hai amal koī nahīñ hai
unwan hazaron hain ghazal koi nahin hai
jhilon ke manazir mein kanwal koi nahin hai
ai kash koi dekhe mere zabt ka aalam
be-kal hun magar mathe pe bal koi nahin hai
har chand ke hum log hain firdaus ke KHaliq
duniya mein magar apna mahal koi nahin hai
haq baat kaho jab bhi kaho jaan-e-tamanna
ye baat hai wo jis ka badal koi nahin hai
haalat ki daldal mein dhansii jati hai 'mani'
ab sakit-o-jamid hai amal koi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.