unwan raha bhi to fasana na rahega
unvān rahā bhī to fasāna na rahegā
ye vaqt ye aalam ye zamāna na rahegā
dil toḌ ke ghabrāoge pachhtāoge barsoñ
ye saaz ye mahfil ye tarāna na rahegā
maġhrūr na ho apnī bahāroñ pe javānī
jo aaj hai kal tak ye zamāna na rahegā
tum dard-e-mohabbat ko mohabbat se na dekho
varna mire marne ko bahāna na rahegā
allāh re sarmastī-e-āġhāz-e-mohabbat
maiñ ḳhud bhī na samjhā ye zamāna na rahegā
'maḳhmūr' baḌī chiiz hai ye daur-e-javānī
ham rah bhī ga.e to ye zamāna na rahegā
unwan raha bhi to fasana na rahega
ye waqt ye aalam ye zamana na rahega
dil toD ke ghabraoge pachhtaoge barson
ye saz ye mahfil ye tarana na rahega
maghrur na ho apni bahaaron pe jawani
jo aaj hai kal tak ye zamana na rahega
tum dard-e-mohabbat ko mohabbat se na dekho
warna mere marne ko bahana na rahega
allah re sarmasti-e-aghaz-e-mohabbat
main KHud bhi na samjha ye zamana na rahega
'maKHmur' baDi chiz hai ye daur-e-jawani
hum rah bhi gae to ye zamana na rahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.