unwan se mawara nahin tha
unvān se māvarā nahīñ thā
vo ishq thā vāhima nahīñ thā
is rah meñ kho gayā thā mujh se
is rah meñ jo milā nahīñ thā
ā.īne to be-shumār hote
is dil ko vo toḌtā nahīñ thā
barsāt bhī thī magar nahīñ thī
ya.anī mujhe bhīgnā nahīñ thā
kyoñ itnā qarīb thā maiñ dil ke
aisā to kabhī huā nahīñ thā
dil se jab ham-kalām thā maiñ
duniyā kā koī patā nahīñ thā
qaabū meñ havās hī nahīñ the
varna to ḳhayāl kyā nahīñ thā
āvāz ke fāsloñ ke mābain
kyoñ qurb vo boltā nahīñ thā
unwan se mawara nahin tha
wo ishq tha wahima nahin tha
is rah mein kho gaya tha mujh se
is rah mein jo mila nahin tha
aaine to be-shumar hote
is dil ko wo toDta nahin tha
barsat bhi thi magar nahin thi
yani mujhe bhigna nahin tha
kyon itna qarib tha main dil ke
aisa to kabhi hua nahin tha
dil se jab ham-kalam tha main
duniya ka koi pata nahin tha
qabu mein hawas hi nahin the
warna to KHayal kya nahin tha
aawaz ke faslon ke mabain
kyon qurb wo bolta nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.