‘uqabi zor KHush-fahmi mein aksar TuT jata hai
‘uqābī zor ḳhush-fahmī meñ aksar TuuT jaatā hai
havā.eñ gher letī haiñ to shahpar TuuT jaatā hai
kināre to maze se baiTh kar sairāb hote haiñ
magar lahroñ ko Dhone meñ samundar TuuT jaatā hai
kahīñ nazreñ jamā.ūñ to jalan hotī hai āñkhoñ meñ
zarā palkeñ jhapaktā huuñ to manzar TuuT jaatā hai
calender bhī kahāñ tak ḳhasta-hālī ko chhupā.eñge
na.ī jag.hoñ se rozāna palastar TuuT jaatā hai
mirā dushman pareshāñ hai mirī maañ kī du'āoñ se
vo jab bhī vaar kartā hai to ḳhanjar TuuT jaatā hai
kabhī insān ke hālāt aise bhī bigaḌte haiñ
ki bigḌī ko banāne meñ muqaddar TuuT jaatā hai
‘uqabi zor KHush-fahmi mein aksar TuT jata hai
hawaen gher leti hain to shahpar TuT jata hai
kinare to maze se baiTh kar sairab hote hain
magar lahron ko Dhone mein samundar TuT jata hai
kahin nazren jamaun to jalan hoti hai aankhon mein
zara palken jhapakta hun to manzar TuT jata hai
calender bhi kahan tak KHasta-haali ko chhupaenge
nai jaghon se rozana palastar TuT jata hai
mera dushman pareshan hai meri man ki du'aon se
wo jab bhi war karta hai to KHanjar TuT jata hai
kabhi insan ke haalat aise bhi bigaDte hain
ki bigDi ko banane mein muqaddar TuT jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.