uruj mera hai jo ki duniya samajh rahi hai zawal mera
uruj mera hai jo ki duniya samajh rahi hai zawal mera
Abdussamad Qaiser
MORE BYAbdussamad Qaiser
uruuj merā hai jo ki duniyā samajh rahī hai zavāl merā
khaTak rahā hai nigāh-e-hāsid meñ ḳhaar ban kar kamāl merā
kaTeñ to kyoñ kar kaTeñ bhalā nā-murād din zindagī ke āḳhir
na kuchh ḳhabar mujh ko aap apnī na aap ko kuchh ḳhayāl merā
kahīñ na aañsū bahā.e shabnam kahīñ na kaliyāñ hoñ chaak dāman
tujhe qasam raunaq-e-chaman kī sabā na kah un se haal merā
maiñ partav-e-nūr-e-lam-yazal huuñ fanā-navāz-e-azal kā Dar kyā
kamāl-e-sāne.a kā nuqs hogā agar huā bhī zavāl merā
gunāhgāroñ kī avvalīñ saf se chashm-e-rahmat ne mujh ko chhāñTā
hazār sajdoñ se baḌh ke kaam aaya jazba-e-infi.āl merā
kise ḳhabar hai ki ho adā farz-e-bandagī phir bhī mujh se 'qaisar'
zabān-e-shukr-o-sipās bhī ban gayā agar baal baal merā
uruj mera hai jo ki duniya samajh rahi hai zawal mera
khaTak raha hai nigah-e-hasid mein KHar ban kar kamal mera
kaTen to kyon kar kaTen bhala na-murad din zindagi ke aaKHir
na kuchh KHabar mujh ko aap apni na aap ko kuchh KHayal mera
kahin na aansu bahae shabnam kahin na kaliyan hon chaak daman
tujhe qasam raunaq-e-chaman ki saba na kah un se haal mera
main partaw-e-nur-e-lam-yazal hun fana-nawaz-e-azal ka Dar kya
kamal-e-sanea ka nuqs hoga agar hua bhi zawal mera
gunahgaron ki awwalin saf se chashm-e-rahmat ne mujh ko chhanTa
hazar sajdon se baDh ke kaam aaya jazba-e-infial mera
kise KHabar hai ki ho ada farz-e-bandagi phir bhi mujh se 'qaisar'
zaban-e-shukr-o-sipas bhi ban gaya agar baal baal mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.