urus-e-sher-o-suKHan ko sajal hi rahne do
urūs-e-she'r-o-suḳhan ko sajal hī rahne do
ġhazal ġhazal hai ġhazal ko ġhazal hī rahne do
tumhārī yaad se raushan hai har dar-o-dīvār
darūn-e-dil to ye khiltā kañval hī rahne do
sukūñ milegā bahut chain se basar hogī
ki dil meñ ḳhauf-e-ḳhudā koī pal hī rahne do
mujhe navāztā rahtā hai zul-jalāl bahut
tum apne dast-e-saḳhāvat ko shal hī rahne do
vahī to shahr meñ ik ḳhush-numā-e-shahr hai ab
vo be-badal hai use be-badal hī rahne do
inheñ bachāo ki ye shāhkār-e-qudrat haiñ
tum in ḳhazānoñ ko dasht-o-jabal hī rahne do
isī sabab to salāmat hai merī kaj-kulahī
dam-e-vidā' mujhe bā-‘amal hī rahne do
urus-e-she'r-o-suKHan ko sajal hi rahne do
ghazal ghazal hai ghazal ko ghazal hi rahne do
tumhaari yaad se raushan hai har dar-o-diwar
darun-e-dil to ye khilta kanwal hi rahne do
sukun milega bahut chain se basar hogi
ki dil mein KHauf-e-KHuda koi pal hi rahne do
mujhe nawazta rahta hai zul-jalal bahut
tum apne dast-e-saKHawat ko shal hi rahne do
wahi to shahr mein ek KHush-numa-e-shahr hai ab
wo be-badal hai use be-badal hi rahne do
inhen bachao ki ye shahkar-e-qudrat hain
tum in KHazanon ko dasht-o-jabal hi rahne do
isi sabab to salamat hai meri kaj-kulahi
dam-e-wida' mujhe ba-‘amal hi rahne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.