us atlasi qaba ke hi tasme ka dard hai
us atlasī qabā ke hī tasme kā dard hai
vo husn be-bahā thā mirā rang zard hai
gāchī paḌī udaas hai taḳhtī ke aas paas
poche sukhā.e kaun ki māhaul sard hai
dariyā meñ baar baar Dubotā huuñ apnā muñh
tujh raushnī ke lobh meñ chehre pe gard hai
ulTā banā rahā huuñ maiñ kāġhaz pe aks ko
sīdhā vahī dikhā.egā jo asl mard hai
har lafz kā maqām hai 'rāshid' ġhazal ke ghar
har sher ḳhāndān kā bā-raub fard hai
us atlasi qaba ke hi tasme ka dard hai
wo husn be-baha tha mera rang zard hai
gachi paDi udas hai taKHti ke aas pas
poche sukhae kaun ki mahaul sard hai
dariya mein bar bar Dubota hun apna munh
tujh raushni ke lobh mein chehre pe gard hai
ulTa bana raha hun main kaghaz pe aks ko
sidha wahi dikhaega jo asl mard hai
har lafz ka maqam hai 'rashid' ghazal ke ghar
har sher KHandan ka ba-raub fard hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.