Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

us bahr mein Dub kyun na jaun

Manzoor Arif

us bahr mein Dub kyun na jaun

Manzoor Arif

MORE BYManzoor Arif

    us bahr meñ Duub kyuuñ na jā.ūñ

    kyuuñ mauj na ek aur uThā.ūñ

    maiñ qatra-e-āb se banā mauj

    kyā bahr ke aur kaam aa.uuñ

    gar koī sadaf qubūl kare

    maiñ ban ke guhar use dikhā.ūñ

    shāyad koī lahr lene aa.e

    sāhil ke qarīb ghar banā.ūñ

    apne ḳhayāl meñ magan ho

    maiñ duur se koī giit gā.ūñ

    ashkoñ jhaḌī lagī huī ho

    bhīgā huā tere paas aa.uuñ

    ik umr dāstān-e-girya

    dariyā ke sivā kise sunā.ūñ

    us bahr mein Dub kyun na jaun

    kyun mauj na ek aur uThaun

    main qatra-e-ab se bana mauj

    kya bahr ke aur kaam aaun

    gar koi sadaf qubul kare

    main ban ke guhar use dikhaun

    shayad koi lahr lene aae

    sahil ke qarib ghar banaun

    tu apne KHayal mein magan ho

    main dur se koi git gaun

    ashkon ki jhaDi lagi hui ho

    bhiga hua tere pas aaun

    ek umr ki dastan-e-girya

    dariya ke siwa kise sunaun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now