us bazm se palTe hain to ghafil se mile hain
us bazm se palTe hain to ghafil se mile hain
Nihal Rizvi Lucknowi
MORE BYNihal Rizvi Lucknowi
us bazm se palTe haiñ to ġhāfil se mile haiñ
aksar to ham apne ko bhī mushkil se mile haiñ
insān ko hamdardī-e-insān ke ehsās
rāhat se nahīñ karb kī mahfil se mile haiñ
ye vaqt kī ḳhūbī hai ki fankār se fankār
kis dil se milā karte the kis dil se mile haiñ
dariyā ne taras khā ke Duboyā nahīñ jis ko
tūfān usī naav ko sāhil se mile haiñ
mālūm hai jin ko safar-e-ishq kā anjām
manzil kī tarah vo ġham-e-manzil se mile haiñ
dekhā to ba-zāhir vo dikhā.ī nahīñ dete
sochā to har ik chiiz meñ shāmil se mile haiñ
kuchh roz se us rashk-e-mohabbat kī badaulat
dil ham se milā aur na ham dil se mile haiñ
kyā hogā tirā ai safar-e-ulfat-e-insāñ
rahbar bhī to gum-karda-e-manzil se mile haiñ
ye daur 'nihāl' asl meñ vo daur hai jis meñ
DhūñDā hai to insān bhī mushkil se mile haiñ
us bazm se palTe hain to ghafil se mile hain
aksar to hum apne ko bhi mushkil se mile hain
insan ko hamdardi-e-insan ke ehsas
rahat se nahin karb ki mahfil se mile hain
ye waqt ki KHubi hai ki fankar se fankar
kis dil se mila karte the kis dil se mile hain
dariya ne taras kha ke Duboya nahin jis ko
tufan usi naw ko sahil se mile hain
malum hai jin ko safar-e-ishq ka anjam
manzil ki tarah wo gham-e-manzil se mile hain
dekha to ba-zahir wo dikhai nahin dete
socha to har ek chiz mein shamil se mile hain
kuchh roz se us rashk-e-mohabbat ki badaulat
dil hum se mila aur na hum dil se mile hain
kya hoga tera ai safar-e-ulfat-e-insan
rahbar bhi to gum-karda-e-manzil se mile hain
ye daur 'nihaal' asl mein wo daur hai jis mein
DhunDa hai to insan bhi mushkil se mile hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.