us bewafa ke ru-ba-ru fariyaad kya karen
us bevafā ke rū-ba-rū fariyād kyā kareñ
ab dil ke is makān ko ābād kyā kareñ
zero likhā huā hai muqaddar meñ jab mire
aise meñ mere jaam ke a.adād kyā kareñ
kaḌve phaloñ ko shauq se hañs hañs ke khā liyā
sahrā ke mezbān ko nāshād kyā kareñ
pahle hī hādsāt se be-ḳhānumāñ hai dil
ab aur terī yaad se barbād kyā kareñ
shahroñ meñ rozgār kī ḳhātir to aa gayā
ġhāroñ meñ tere daur ke ham-zād kyā kareñ
un hī se mere qalb meñ rahtī hai tāzgī
'mas.ūd' ḳhvāhishāt ko āzād kyā kareñ
us bewafa ke ru-ba-ru fariyaad kya karen
ab dil ke is makan ko aabaad kya karen
zero likha hua hai muqaddar mein jab mere
aise mein mere jam ke aadad kya karen
kaDwe phalon ko shauq se hans hans ke kha liya
sahra ke mezban ko nashad kya karen
pahle hi hadsat se be-KHanuman hai dil
ab aur teri yaad se barbaad kya karen
shahron mein rozgar ki KHatir to aa gaya
ghaaron mein tere daur ke ham-zad kya karen
un hi se mere qalb mein rahti hai tazgi
'masud' KHwahishat ko aazad kya karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.