us but ka intizar kabhi hai kabhi nahin
us but kā intizār kabhī hai kabhī nahīñ
dil apnā be-qarār kabhī hai kabhī nahīñ
iqrār bhī hai va.ade se inkār bhī use
zālim kā e.atibār kabhī hai kabhī nahīñ
nafrat hai vaise gar tujhe inkār hī sahī
ye kyā ki ḳhvāst-gār kabhī hai kabhī nahīñ
itrā.eñ dil meñ aap na ā.īna dekh kar
ye mausam-e-bahār kabhī hai kabhī nahīñ
raġhbat bhī hai sharāb se nafrat bhī hai mujhe
ye chiiz nāgavār kabhī hai kabhī nahīñ
ye haal ho gayā hai ki us ke firāq meñ
aañkh apnī ashk-bār kabhī hai kabhī nahīñ
ik roz mere paas hai ik roz un ke paas
dil kā bhī e.atibār kabhī hai kabhī nahīñ
ai 'ranj' kyā batā.ūñ ilaaj is kā kyā karūñ
dil ko mire qarār kabhī hai kabhī nahīñ
us but ka intizar kabhi hai kabhi nahin
dil apna be-qarar kabhi hai kabhi nahin
iqrar bhi hai wade se inkar bhi use
zalim ka eatibar kabhi hai kabhi nahin
nafrat hai waise gar tujhe inkar hi sahi
ye kya ki KHwast-gar kabhi hai kabhi nahin
itraen dil mein aap na aaina dekh kar
ye mausam-e-bahaar kabhi hai kabhi nahin
raghbat bhi hai sharab se nafrat bhi hai mujhe
ye chiz nagawar kabhi hai kabhi nahin
ye haal ho gaya hai ki us ke firaq mein
aankh apni ashk-bar kabhi hai kabhi nahin
ek roz mere pas hai ek roz un ke pas
dil ka bhi eatibar kabhi hai kabhi nahin
ai 'ranj' kya bataun ilaj is ka kya karun
dil ko mere qarar kabhi hai kabhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.