us but ki zaban par lo anwar phir aaj tumhaara nam aaya
us but ki zaban par lo anwar phir aaj tumhaara nam aaya
S. Nooruddin Anwar Bhopali
MORE BYS. Nooruddin Anwar Bhopali
us but kī zabāñ par lo 'anvar' phir aaj tumhārā naam aaya
kyā jazb-e-mohabbat jaag uThā kyā josh-e-junūñ phir kaam aaya
lo dekh lo vo namnāk āñkheñ lo sun lo vo zer-e-lab aaheñ
bīmār-e-hasīñ ke hoñToñ par kyā jāniye kyā paiġhām aaya
un mast nigāhoñ ne uTh kar fauran hī pilā dī thoḌī sī
rindoñ pe jahāñ hushyārī kā mahfil meñ koī ilzām aaya
kyā jāniye kyoñ dil bhar aaya ma.alūm nahīñ kyā baat huī
phir ek dhuāñ sā dil se uThā jab mere laboñ tak jaam aaya
kuchh tujh ko ḳhabar bhī hai zālim ai mast-e-ḳhirām-e-be-pardā
ye ḳhaak kā zarra zarra kyoñ dil ban ke ba-zer-e-gām aaya
detā huuñ tasallī maiñ 'anvar' dil ko yahī kah kah kar aksar
ab nāma-bar aane vaalā hai ab un kā koī paiġhām aaya
us but ki zaban par lo 'anwar' phir aaj tumhaara nam aaya
kya jazb-e-mohabbat jag uTha kya josh-e-junun phir kaam aaya
lo dekh lo wo namnak aankhen lo sun lo wo zer-e-lab aahen
bimar-e-hasin ke honTon par kya jaaniye kya paigham aaya
un mast nigahon ne uTh kar fauran hi pila di thoDi si
rindon pe jahan hushyari ka mahfil mein koi ilzam aaya
kya jaaniye kyon dil bhar aaya malum nahin kya baat hui
phir ek dhuan sa dil se uTha jab mere labon tak jam aaya
kuchh tujh ko KHabar bhi hai zalim ai mast-e-KHiram-e-be-parda
ye KHak ka zarra zarra kyon dil ban ke ba-zer-e-gam aaya
deta hun tasalli main 'anwar' dil ko yahi kah kah kar aksar
ab nama-bar aane wala hai ab un ka koi paigham aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.